Sunday, June 17, 2007

Adhunik Yug Mein 'Computer'

Adhunik yug mein 'Computer'
Hai sukhi jeevan ka aadhar,
Kritrim mastishk wala yeh yantra
Hai, wakaii, vigyan ka chamatkar.

Aaj ke daur mein har kahin
Hai pratiyogita bharpoor,
Har ghadi aaye nayi mushkilein
Karne hamare chain ko door.

Samasyayon ka ant nehin hai
Aise vyast jeevan mein-
Har roz ek nayi pareshani
Khadi hai insaanon ko satane.

Aise mein yeh 'Computer'
Kare hamari madad hazaar;
Koi machine nahin yeh sadharan-
Yeh hai ek mahaan avishkaar.

Har mushkil aasaan kare yeh,
Har kaam mein ho madadgaar-
Har dukh ko baant le 'Computer'
Badle mein de anand apaar.